اردو हिंदी
Wo hai aag wo pani hai | Shaahi Shayari
wo hai aag wo pani hai

Ghazal

Wo hai aag wo pani hai

Mohsin Asrar

;

wo hai aag wo pani hai
sab ki ek kahani hai

un khanDaraat ke niche bhi
jari naql-e-makani hai

koi meri umr batae
bachpan hai ki jawani hai

aaine hain gard-alud
aur KHitta barani hai

ghar ka naqsha hai tayar
ab zanjir banani hai

hath hamare zaKHmi hain
aur chaTTan girani hai

koi sapna bhi dekho
virani virani hai

mere ghar ka sannaTa
meri hi be-dhyani hai

hijr ko hijr na kahna bhi
'mohsin' be-imani hai