wo hazir ho ki ghaeb ho nihan yun bhi hai aur yun bhi
sarasar raaz raaz-e-kun-fakan yun bhi hai aur yun bhi
tahayyur hai huzuri mein to betabi hai duri mein
musibat mein ye jaan-e-na-tawan yun bhi hai aur yun bhi
tamanna ki tarah tark-e-tamanna bhi musibat hai
ye duniya ek maqam-e-imtihan yun bhi hai aur yun bhi
wo aa kar bhi rulate hain wo ja kar bhi rulate hain
dil-e-nakaam mashghul-e-fughan yun bhi hai aur yun bhi
uThaya naz-e-rahbar bhi junun bhi aazma dekha
magar barham nizam-e-karwan yun bhi hai aur yun bhi
jo dil mein dagh raushan hain to ashk-e-KHun hai aankhon mein
ye manzar-e-gulsitan dar-gulsitan yun bhi hai aur yun bhi
rahi jo barq se mahfuz pamal-e-KHizan hogi
gham-e-anjam-e-shaKH-e-ashiyan yun bhi hai aur yun bhi
faqat kahne ko to hai kaamyabi aur nakaami
mohabbat fatah-e-kaun-o-makan yun bhi hai aur yun bhi
sitam ho ya karam donon ka hum par shukr wajib hai
jo apna mehrban hai mehrban yun bhi hai aur yun bhi
jo sun sakte ho tum sun lo nahin taqat to hum chup hain
hamein manzur apna imtihan yun bhi hai aur yun bhi
umid-e-silsila-dar-silsila lutf-o-dawam is mein
bahaar-e-umr-e-fani jawedan yun bhi hai aur yun bhi
ghaTa sawan ki aur ai 'arsh' ilhamat ki barish
zamin par aaj faiz-e-asman yun bhi hai aur yun bhi
Ghazal
Wo hazir ho ki ghaeb ho nihan yun bhi hai aur yun bhi
Arsh Malsiyani