wo ghuncha hun jo bin khile murjhae chaman mein
wo ashk hun jo zinat-e-daman nahin hota
zindan mein bhi Takrae hain zanjir ke halqe
kab josh-e-junun dast-o-gareban nahin hota
kyun KHal-e-siyah aariz-e-gulgun pe hai mail
hindu to koi mail-e-quran nahin hota
jauhar na hon to tegh hai faulad ka TukDa
insan faqat kahne se insan nahin hota
diwane ko tere nahin kuchh hu ki zarurat
muhtaj ba-sang-e-kaf-e-tiflan nahin hota
Ghazal
Wo ghuncha hun jo bin khile murjhae chaman mein
Anisa Begum