wo gum hue hain musafir rah-e-tamanna mein
ki gard bhi nahin ab aarzu ke sahra mein
hai kaun jalwa-sara baam-e-afrinash par
utar gae hain sitare se chashm-e-bina mein
mili thi jis ko numu dard ki salibon se
wo lams bhi nahin baqi mere masiha mein
kashid jin se hui thi nae zamanon ki
wo mai-kade bhi hue gharq mauj-e-sahba mein
uTha liya tha jinhen gham ne shahr-e-matam se
wo harf likkhe gae hain KHat-e-shakeba mein
diya shuur ujalon ka subh-e-mariyam ko
charagh kis ne jalaya shab-e-kalisa mein
uTha hai ab ke wo tufan jawar-e-sahil se
ki mauj bhi nahin mahfuz qar-e-dariya mein
jo le gain mere yusuf ko bab-e-zindan tak
wo chahaten bhi nahin daman-e-zuleKHa mein
wo zaKHm jin se mila dard aashnai ka
nahin hain wo bhi 'samad' ab mere sarapa mein

Ghazal
Wo gum hue hain musafir rah-e-tamanna mein
Samad Ansari