wo gul hain na un ki wo hansi hai
dekho jidhar us si paDi hai
kyun sog ki rasm jite-ji hai
marne ki hamare kya kahi hai
aaDi haikal ko chum legi
wo chiz jo kuchh uThi uThi hai
dawat thi raqib ki mere ghar
juti mein dal kya baTi hai
aaya dabe panw qabr par kaun
koi nahin meri bekasi hai
ek waza par ab KHuda nibahe
tauba kar ke sharab pi hai
waiz hai KHarab KHwahish-e-KHuld
bilkul ye shaKHs jannati hai
kuchh phuT paDi hai ghunghruon mein
chhagal kuchh un ki kah rahi hai
majbur farishta hai badi ka
pahle hi se kuchh kahi badi hai
paiwasta nahin mera lab-e-shauq
tere lab par teri hansi hai
ab kaun kalim ban ke aaya
phir tur par aag si lagi hai
hai aankh mein aankh kaun Dale
koi nahin teri aarsi hai
kaisa pina kahan ki tauba
ab main hun KHuda hai be-KHudi hai
KHush hoge 'riyaz' se bhi milna
kya bagh-o-bahaar aadmi hai
Ghazal
Wo gul hain na unki wo hansi hai
Riyaz Khairabadi