اردو हिंदी
Wo gul-badan hai sarapa gulab jaisa hai | Shaahi Shayari
wo gul-badan hai sarapa gulab jaisa hai

Ghazal

Wo gul-badan hai sarapa gulab jaisa hai

Roop Sagar

;

wo gul-badan hai sarapa gulab jaisa hai
jahan-e-husn mein wo aaftab jaisa hai

hazaron rang sameTe hue hai aankhon mein
wo shairi ki mukammal kitab jaisa hai

sanwar deta hai wo sari mushkilen meri
har-ik sawal hi us ka jawab jaisa hai

wo ru-ba-ru ho to bas dekhte raho us ko
ki us ko dekhna kar-e-sawab jaisa hai

zamana kuchh nahin samjhega bas piye jao
ki zahr-e-gham ka nasha bhi sharab jaisa hai

kisi maqam pe Thahra hai aur na Thahrega
ki dil ka haal bhi KHana-KHarab jaisa hai

har ek lafz hai 'sagar' ka qimti moti
wo rakh-rakhaw mein ab bhi nawab jaisa hai