wo ghir ke aaya ghaTaon ki tirgi ki tarah
baras paDa mere aangan mein chandni ki tarah
wo jis ke waste ek harf-e-muddaa na mila
utar gaya mere sine mein aagahi ki tarah
nazar bacha ke jise dekhte the mere harif
sama gaya meri aankhon mein raushni ki tarah
hawa pe jis ke qadam hain misal-e-nighat-e-gul
asir hai mere sheron mein naghmagi ki tarah
mera ghazal ki wahshat thi jis ko sae se
lipaT gaya mere sine se aadmi ki tarah
meri nigah ko tu apne aaine mein bhi dekh
jami hai tere labon par shaguftagi ki tarah
kahan ke sher kahan ki ghazal ye zehn ki rau
bikhar gai mere kaghaz pe shairi ki tarah
zaban khuli hai to dil phaT paDa hai surat-e-gul
wagarna hum bhi the gham aap mein kali ki tarah
lahad mein zehn ki madfun paikar-e-auham
meri ragon mein machalte hain zindagi ki tarah
ye dhup-chhanw hai duniya ki KHud mera saya
mere qarib se guzra hai ajnabi ki tarah
gham-e-zamana se dil-tang the bahut 'baqar'
simaT ke rah gae ehsas-e-bekasi ki tarah

Ghazal
Wo ghir ke aaya ghaTaon ki tirgi ki tarah
Sajjad Baqar Rizvi