wo ghar tinkon se banwaya gaya hai
wahan har KHwab dafnaya gaya hai
meri ulfat ko kya samjhega koi
sabaq nafrat ka dohraya gaya hai
mere andar ka chehra muKHtalif hai
badan pe aur kuchh paya gaya hai
hui hai zindagi uftad aise
hawas mein har maza paya gaya hai
kahi aisi hai 'amabar' us ki har baat
shikasta-dil ko taDpaya gaya hai
Ghazal
Wo ghar tinkon se banwaya gaya hai
Nadiya ambar lodhi