wo ghazal ki kitab hai pyare 
us ko paDhna sawab hai pyare 
wo kabhi narm chandni si lage 
aur kabhi aaftab hai pyare 
umr kachchi hai ishq kya jaane 
KHamushi bhi jawab hai pyare 
apne hathon pilae KHushbu tu 
sada pani sharab hai pyare 
us ko paDhna to chum kar paDhna 
wo KHuda ki kitab hai pyare 
us ko dekho libas mat dekho 
wo pahaDi gulab hai pyare 
hans ke jine ka tum hunar sikho 
zindagi la-jawab hai pyare 
wo jo aata hai shab Dhale 'anzar' 
tera sachcha wo KHwab hai pyare
        Ghazal
Wo ghazal ki kitab hai pyare
Ateeq Anzar

