اردو हिंदी
Wo garm aansuon ki rawani tamam raat | Shaahi Shayari
wo garm aansuon ki rawani tamam raat

Ghazal

Wo garm aansuon ki rawani tamam raat

Shafiq Jaunpuri

;

wo garm aansuon ki rawani tamam raat
dekha maal-e-soz-e-nihani tamam raat

meri hi tarah aap kabhi meri yaad mein
hon mubtala-e-soz-e-nihani tamam raat

main aap ke huzur na hunga to dil mera
hoga barae yaad-dahani tamam raat

un ki bahaar-e-husn se aalam hi aur tha
thi chandni bhi kitni suhani tamam raat

rota nahin 'shafiq' hi un ke firaq mein
karti hain wo bhi ashk-fishani tamam raat