wo gham-gusar bil-aKHir bala-e-jaan nikla
jise zamin samajhte the aasman nikla
azim-tar hai mohabbat mein ruh ka rishta
magar badan ka talluq bhi darmiyan nikla
suragh-e-qatl shahadat subut sab gunge
lahu KHamosh tha KHanjar bhi be-zaban nikla
tamam raste mazi ke band the phir bhi
har ek moD se yaadon ka karwan nikla
suni jo meri kahani to ro paDe sab log
sabhon ke dard mein ek rishta-e-nihan nikla
hum apne gham ka fasana kaha kiye shab-bhar
hui jo subh to zikr-e-gham-e-jahan nikla
'shahab' jis ki KHitabat ka shor hai yaro
ghazal ki bazm mein kam-saut-o-kam-bayan nikla
Ghazal
Wo gham-gusar bil-aKHir bala-e-jaan nikla
Manzar Shahab