wo ek tarha se iqrar karne aaya tha
jo itni dur se inkar karne aaya tha
KHushi jo KHwab mein bhi meri dastaras se thi dur
mujhe isi ka saza-war karne aaya tha
ye saf lagta hai jaisi ki us ki aankhen thin
wo asl mein mujhe bimar karne aaya tha
agar tha us ko meri haisiyat ka andaza
to kyun wo apna KHaridar karne aaya tha
ye zindagi ki jo aasan nahin thi pahle bhi
use kuchh aur bhi dushwar karne aaya tha
agarche ek hi sust-ul-wajud tha lekin
wo kaam koi lagatar karne aaya tha
mere to bas mein koi chiz thi na pahle bhi
wo mujh ko aur bhi lachaar karne aaya tha
wo ek abr-e-giran-e-bar tha magar is din
zara faza ko hawa-dar karne aaya tha
adawaton mein wahan dhar liya gaya hun 'zafar'
jahan ke logon se main pyar karne aaya tha
Ghazal
Wo ek tarha se iqrar karne aaya tha
Zafar Iqbal