اردو हिंदी
Wo ek shaKHs ki manzil bhi rasta bhi hai | Shaahi Shayari
wo ek shaKHs ki manzil bhi rasta bhi hai

Ghazal

Wo ek shaKHs ki manzil bhi rasta bhi hai

Ata ul Haq Qasmi

;

wo ek shaKHs ki manzil bhi rasta bhi hai
wahi dua bhi wahi hasil-e-dua bhi hai

main us ki khoj mein nikla hun sath le ke use
wo husn mujh pe ayan bhi hai aur chhupa bhi hai

main dar-ba-dar tha magar bhul bhul jata tha
ki ek charagh dariche mein jagta bhi hai

khula hai dil ka daricha usi ki dastak par
jo mujh ko meri nigahon se dekhta bhi hai

ye meri sarhad-e-jaan mein qadam dhara kis ne
ki mahw-e-KHwab hun aaankhon mein rat-jaga bhi hai

use wo bhulne lagta hai jo use bhule
'ata' ki dil-zada bhi aur sar-phira bhi hai