wo ek shaKHs ki jo aaftab jaisa hai
qarib aae to taza gulab jaisa hai
KHuda kare ki kabhi bhi na TuTne pae
ye tera mera milan ek KHwab jaisa hai
zara bhi tez hawa ho to kanp uThta hai
wo KHush-jamal to shaKH-e-gulab jaisa hai
kuchh aise lagta hai jaise guzar gain sadiyan
teri judai ka mausam azab jaisa hai
samay ke tez bagulon ki zad mein Thahra hun
mere wajud ka dariya habab jaisa hai
teri jabin pe ibarat hai din-e-ishq 'niyaz'
tera wajud muqaddas kitab jaisa hai
Ghazal
Wo ek shaKHs ki jo aaftab jaisa hai
Niyaz Husain Lakhwera

