wo ek shaKHs ki bais mere zawal ka tha
zamin se milta hua rang us ke jal ka tha
dil o nigah mein jhagDa bhi munfarid tha magar
jo faisla hua wo bhi baDe kamal ka tha
main jaan dene ka dawa wahan pe kya karta
jo masala use darpesh tha misal ka tha
main chahta tha ki wo KHud-baKHud samajh jae
taqaza us ki taraf se magar sawal ka tha
ye aur baat ki bazi isi ke hath rahi
wagarna farq to le de ke ek chaal ka tha
tamam umr ganwa di jise bhulane mein
wo nisf mazi ka qissa tha nisf haal ka tha
main pahle zaKHm pe chaunka tha dard se lekin
phir us ke baad kise hosh indimal ka tha
Ghazal
Wo ek shaKHs ki bais mere zawal ka tha
Inam-ul-Haq Javed