اردو हिंदी
Wo ek shaKHs ba-andaz-e-mahramana mila | Shaahi Shayari
wo ek shaKHs ba-andaz-e-mahramana mila

Ghazal

Wo ek shaKHs ba-andaz-e-mahramana mila

Nabeel Ahmad Nabeel

;

wo ek shaKHs ba-andaz-e-mahramana mila
mila wo jab bhi hamein zat se juda na mila

hamein bhi apni jabin ko jhukana aata tha
magar talash thi jis ki wo naqsh-e-pa na mila

kisi ke husn ka mazmun hum raqam karte
so hasb-e-haal hamein aisa qafiya na mila

wazahaten to mohabbat mein hum bhi karte magar
kitab-e-dil ka hamein koi hashiya na mila

use jafa ka jafa se jawab kya dete
hamein mizaj mila bhi to dostana mila

na tha sarisht mein aah-o-fughan ka rang koi
isi liye to hamein nala-e-rasa na mila

agar mile to use haal-e-dil hi kah dena
phir us ke baad wo tum se mila mila na mila

misal-e-mauj-e-rawan sab guzarte jate hain
isi liye to hamein koi naKHuda na mila