اردو हिंदी
Wo ek sajda ki jo be-rukua hota hai | Shaahi Shayari
wo ek sajda ki jo be-rukua hota hai

Ghazal

Wo ek sajda ki jo be-rukua hota hai

Ishrat Qadri

;

wo ek sajda ki jo be-rukua hota hai
ajab maqam-e-KHushu-o-KHuzua hota hai

bisat ulaTti hai shab ki sitare bujhte hain
charagh gul karo suraj tulua hota hai

moarriKHon se kaho likkhen ek nai tariKH
wo aasman zamin se rujua hota hai

zaban milti hai dhaDkan ko istiaron ki
bayan dil ka mahall-e-waqua hota hai