wo ek pal ko mujhe itna sach laga tha ki bas
wo hadisa tha magar aisa hadisa tha ki bas
wo pahle pahle mila tha to yun saja tha ki bas
phir us ke baad to aisa ujaD gaya tha ki bas
main apne ganw ke diwar-o-dar pe kya likhta
wahan to aisa andhera chuna hua tha ki bas
wo ek aam sa lahja tha bhige mausam ka
nigah-o-dil mein magar yun utar gaya tha ki bas
bas ek moD talak ham-safar dilase the
phir us ke baad to wo saKHt marhala tha ki bas
gharib TuT na jata to aur kya karta
tamam umr zamane se yun laDa tha ki bas
na aa saka wo mere ghar to kya hua 'nazim'
ki rasta bhi to aisa ghumaw ka tha ki bas
Ghazal
Wo ek pal ko mujhe itna sach laga tha ki bas
Nazim Sultanpuri