wo ek laDki jo KHanda-lab thi na jaane kyun chashm-tar gai wo
abhi to baiThi sisak rahi thi abhi na jaane kidhar gai wo
wo laDki lagti thi ajnabi si zara se khaTke pe chaunkti thi
ye us ke sath hadsa hua kya ki baiThe baiThe bikhar gai wo
wo koi shai apni kho chuki thi wo DhunDhti us ko phir rahi thi
wo shahr shahr aur ganw ganw talash mein dar-ba-dar gai wo
na ham-nawa tha na ham-zaban tha na dard ka koi raaz-dan tha
bas apni aankhon se qatra qatra Tapak Tapak kar bikhar gai wo
na koi diwar-o-dar tha koi na ham-safar ham-suKHan tha koi
bichaari ka koi ghar kahan tha ki kah den hum apne ghar gai wo
tamam anjaan kuche galiyan tamam kanTe tamam chhuriyan
kisi tarah apna dil sambhaale bacha ke daman guzar gai wo
kisi se qaul-o-qarar tha kya ki wadon ka eatibar tha kya
jahan koi surKH joDa dekha to dil ko thame Thahar gai wo
sitaron se ja ke mil gai hai ki baadalon mein chhupi hui hai
uDan us ki bahut baDi thi agarche be-baal-o-par gai wo
rahi wo sare chaman mein 'anjum' be-ashna aur be-shanasa
main kahti hun par utar gai wo zamana kahta hai mar gai wo
Ghazal
Wo ek laDki jo KHanda-lab thi na jaane kyun chashm-tar gai wo
Sufia Anjum Taj