wo ek KHwab ki aankhon mein jagmaga raha hai
charagh ban ke mujhe raushni dikha raha hai
wo sirf haq jo mere lab se aashkar hua
sukut-e-dair mein ek umr gunjta raha hai
mere suKHan mein jo ek lau si thartharaati hai
charagh-e-shab se mera bhi mukalima raha hai
mere liye ye KHad-o-KHal ki haqiqat kya
wo KHak hun ki jise chaak phir bula raha hai
main sochta hun koi dasht kya sameTega
wo wahshaten hain mujhe KHud bhi KHauf aa raha hai
suKHan ke aaina-KHane ko KHair ho 'shahbaz'
zamana sang-ba-kaf hai idhar ko aa raha hai
Ghazal
Wo ek KHwab ki aankhon mein jagmaga raha hai
Shahbaz Khwaja