wo dilbar hain to goya dilbari karni paDegi
unhin ke nam dil ki Diary karni paDegi
wo un ko jaante hain aur un ke haal-e-dil ko
so un ke doston se dosti karni paDegi
hamare darmiyan ye dukh hi qadr-e-mushtarak hain
so hum ko ijtimai KHud-kushi karni paDegi
badan ko ruh se mahrum kar Dala gaya hai
basar is taur hi ab zindagi karni paDegi
bulaya jae kaise us shanasa-e-suKHan ko
bapa ek bazm-e-sher-o-shaeri karni paDegi
bahut muddat se hansna bhul kar baiThi hui hai
tumhein 'raKHshanda' shayad gudgudi karni paDegi

Ghazal
Wo dilbar hain to goya dilbari karni paDegi
Rakhshanda Naved