wo dilawar jo siyah shab ke shikari nikle
wo bhi chaDhte hue suraj ke pujari nikle
sab ke honTon pe mere baad hain baaten meri
mere dushman mere lafzon ke bhikari nikle
ek janaza uTha maqtal mein ajab shan ke sath
jaise saj kar kisi fateh ki sawari nikle
hum ko har daur ki gardish ne salami di hai
hum wo patthar hain jo har daur mein bhaari nikle
aks koi ho KHad-o-KHal tumhaare dekhun
bazm koi ho magar baat tumhaari nikle
apne dushman se main be-wajh KHafa tha 'mohsin'
mere qatil to mere apne hawari nikle
Ghazal
Wo dilawar jo siyah shab ke shikari nikle
Mohsin Naqvi