wo dil nasib hua jis ko dagh bhi na mila
mila wo gham-kada jis mein charagh bhi na mila
gai thi kah ke main lati hun zulf-e-yar ki bu
phiri to baad-e-saba ka dimagh bhi na mila
charagh le ke irada tha yar ko DhunDen
shab-e-firaq thi koi charagh bhi na mila
KHabar ko yar ki bheja tha gum hue aaise
hawas-e-rafta ka ab tak suragh bhi na mila
'jalal' bagh-e-jahan mein wo andalib hain hum
chaman ko phul mile hum ko dagh bhi na mila
Ghazal
Wo dil nasib hua jis ko dagh bhi na mila
Jalal Lakhnavi