wo dil mein rahte hain dil ka nishan nahin malum
makin DhunD raha hun makan nahin malum
sukun pane laga hun gham-e-mohabbat mein
kahan gain meri be-tabiyan nahin malum
masarraton ka to sathi mutala hai magar
gham-e-hayat ki gahraiyan nahin malum
fughan nasib ki waraftagi are tauba
fughan nasib ko wajh-e-fughan nahin malum
chaman ki fikr bhi kar aashiyan ki fikr ke sath
kidhar ko TuT paDen bijliyan nahin malum
wafa-shiar tahi-dast aae manzil par
kahan kahan pe luTa karwan nahin malum
'shakil' aaina hai daur-e-inqilab magar
maal-e-qismat-e-hindostan nahin malum
Ghazal
Wo dil mein rahte hain dil ka nishan nahin malum
Shakeel Badayuni