اردو हिंदी
Wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare | Shaahi Shayari
wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare

Ghazal

Wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare

Qateel Shifai

;

wo dil hi kya tere milne ki jo dua na kare
main tujh ko bhul ke zinda rahun KHuda na kare

rahega sath tera pyar zindagi ban kar
ye aur baat meri zindagi wafa na kare

ye Thik hai nahin marta koi judai mein
KHuda kisi ko kisi se magar juda na kare

suna hai us ko mohabbat duaen deti hai
jo dil pe choT to khae magar gila na kare

agar wafa pe bharosa rahe na duniya ko
to koi shaKHs mohabbat ka hausla na kare

bujha diya hai nasibon ne mere pyar ka chand
koi diya meri palkon pe ab jala na kare

zamana dekh chuka hai parakh chuka hai ise
'qatil' jaan se jae par iltija na kare