wo dil bhi jalate hain rakh dete hain marham bhi
kya turfa tabiat hai shola bhi hain shabnam bhi
KHamosh na tha dil bhi KHwabida na the hum bhi
tanha to nahin guzra tanhai ka aalam bhi
chhalka hai kahin shisha Dhalka hai kahin aansu
gulshan ki hawaon mein naghma bhi hai matam bhi
har dil ko lubhata hai gham teri mohabbat ka
teri hi tarah zalim dilkash hai tera gham bhi
inkar-e-mohabbat ko tauhin samajhte hain
izhaar-e-mohabbat par ho jate hain barham bhi
tum ruk ke nahin milte hum jhuk ke nahin milte
malum ye hota hai kuchh tum bhi ho kuchh hum bhi
pai na 'shamim' apne saqi ki nazar yaksan
har aan badalta hai mai-KHane ka mausam bhi

Ghazal
Wo dil bhi jalate hain rakh dete hain marham bhi
Shamim Karhani