اردو हिंदी
Wo dil bhi hamara uDae hue hain | Shaahi Shayari
wo dil bhi hamara uDae hue hain

Ghazal

Wo dil bhi hamara uDae hue hain

Mahendra Singh Barq

;

wo dil bhi hamara uDae hue hain
nigahen bhi hum se churae hue hain

jhukae hue hain ye nazren jo hum se
qayamat ke fitne uThae hue hain

gila hai mere shauq-e-jalwa ko un se
wo jalwe ko parda banae hue hain

mujhe aaj yun un ki yaad aa hi hai
mere ghar wo jaise KHud aae hue hain

KHudai pe hai is qadar naz jin ko
KHuda wo hamare banae hue hain

yaqin hi nahin aa raha 'barq' mujh ko
mere ghar mein wo aaj aae hue hain