wo dekhte jate hain kanakhiyon se idhar bhi
chalta hua jadu hai mohabbat ki nazar bhi
uThne ki nahin dekhiye shamshir-e-nazar bhi
pahle hi lachakti hai kalai bhi kamar bhi
phuTen meri aankhen jo kuchh aata ho nazar bhi
duniya se alag chiz hai furqat ki sahar bhi
saqi kabhi mil jae mohabbat ka samar bhi
in aankhon ka sadqa koi saghar to idhar bhi
betab hun kya chiz chura li hai nazar ne
hone ko to dil bhi hai mere pas jigar bhi
ghar samjha hun jis ko kahin turbat to nahin hai
aati hai yahan sham ki surat mein sahar bhi
KHamosh hun main aur wo kuchh puchh rahe hain
mathe pe shikan bhi hai inayat ki nazar bhi
us ke lab-e-rangin ki nazakat hai na rangat
ghunche bhi bahut dekh liye hain gul-e-tar bhi
aati hai nazar dur hi se husn ki KHubi
kuchh aur hi hoti hai jawani ki nazar bhi
haTti hai jo aaina se paD jati hai dil par
kya shoKH nazar hai ki udhar bhi hai idhar bhi
bimar-e-mohabbat ka KHuda hai jo sambhal jae
hai sham bhi maKHdush judai ki sahar bhi
mai-KHana-e-ishrat na sahi kunj-e-gareban
aankhon ke chhalakte hue saghar hain idhar bhi
mil jaen agar mujh ko to main KHizr se puchhun
dekhi hai kahin sham-e-judai ki sahar bhi
ai shauq-e-shahadat kahin qismat na palaT jae
bandhi to hai talwar bhi qatil ne kamar bhi
ai dil teri aahen to sunin kanon se hum ne
ab ye tu bata us pe karengi ye asar bhi
ek rashk ka pahlu to hai samjhun ki na samjhun
gardan bhi hai KHam aap ki nichi hai nazar bhi
kuchh kan mein kal aap ne irshad kiya tha
mushtaq usi baat ka hun bar-e-digar bhi
sofar bhi rangin kiye hath bhi us ne
aaya hai baDe kaam mera KHun-e-jigar bhi
chhupti hai koi baat chhupae se sar-e-bazm
uDte ho jo tum hum se to uDti hai KHabar bhi
yun hijr mein barson kabhi lagti hi nahin aankh
so jata hun jab aa ke wo kah deti hain mar bhi
khulta hi nahin beKHud-e-badnam ka kuchh haal
kahte hain farishta bhi use log bashar bhi
Ghazal
Wo dekhte jate hain kanakhiyon se idhar bhi
Bekhud Dehlvi