wo daur qarib aa raha hai
jab dad-e-hunar na mil sakegi
us shab ka nuzul ho raha hai
jis shab ki sahar na mil sakegi
puchhoge har ek se hum kahan hain
aur apni KHabar na mil sakegi
aasan bhi na hoga ghar mein rahna
taufiq-e-safar na mil sakegi
KHanjar si zaban ka zaKHm kha ke
marham si nazar na mil sakegi
is rah-e-safar mein saya-e-afgan
ek shaKH-e-shajar na mil sakegi
jaoge kisi ki anjuman mein
par us se nazar na mil sakegi
ek jins-e-wafa hai jis ko har-su
DhunDoge magar na mil sakegi
sailab-e-hawas umaD raha hai
ek tishna nazar na mil sakegi
Ghazal
Wo daur qarib aa raha hai
Athar Nafees