wo daur-e-nashat-o-dida-o-dil jaise bas abhi guzra hi to hai
sine ki kasak kis tarah miTe har dagh-e-kuhan taza hi to hai
tu sath kahan lekin ab tak har rahguzar-e-tanhai par
jo aage aage chalta hai ai dost koi tujh sa hi to hai
is tair-e-awara ke liye yun jal na bun ummidon ke
uDta hua lamha jaise abhi roke se tere rukta hi to hai
malum nahin kis waqt ye kya bartaw kisi se karti hai
duniya se koi ummid na rakh mayus na ho duniya hi to hai
kirnen nae din ke suraj ki phailengi to gum ho jaega
tarik hai jis se dil ka ufuq guzri shab ka saya hi to hai
lamhon ke hujum-e-gurezan mein ek lamha jise apna kahiye
jaan de ke bhi hath aa jae agar mahnga kab hai sasta hi to hai
'maKHmur' taaqub kar dekho kuchh dur nahin hath aa jae
ek gum-shuda KHushbu ka jhonka aangan se abhi guzra hi to hai

Ghazal
Wo daur-e-nashat-o-dida-o-dil jaise bas abhi guzra hi to hai
Makhmoor Saeedi