wo dasht-e-tirgi hai ki koi sada na de
saya bhi mere jism ka mujh ko pata na de
na-agahi ki raat bhi kitni latif thi
ye aagahi ki dhup hai chehra jala na de
KHwabon ka ek latif sa hai aks zehn par
baad-e-sumum-e-waqt ise bhi miTa na de
chashm-e-ghazal jhil ka manzar hasin maut
meri taraf na dekh mujhe ye saza na de
dil se bhi us nigah ka jadu chhupa liya
nadan hai sadgi mein kahin kuchh bata na de
shaistagi ka jabr ki roya na ja saka
chup-chap dil ki aag badan ko ghula na de
ek pal ko bhi sukun na de zindagi 'shamim'
aur bhagna bhi chahun to ye rasta na de

Ghazal
Wo dasht-e-tirgi hai ki koi sada na de
Syed Ahmed Shameem