wo dariya-bar ashkon ki jhaDi hai
ki hut-e-asman tah mein paDi hai
mere arman buton ki sard-mehri
zraat barf ke pale paDi hai
chaman mein sarw ka bahrup bhar kar
qayamat muntazar kis ki khaDi hai
dahan-e-tang ghuncha patiyan lab
hansi hai phul fiqara pankhuDi hai
laga di aag kis shoala ne bulbul
har ek phulon ki Tahni phuljhaDi hai
nigah-e-yas kis ki kar gai choT
ki gardan tegh ki Dhalki paDi hai
anasir jald pahuncha denge ta-gor
nihayat tez-rau ye chaukDi hai
kafan se munh lapeTe meri hasrat
dil-e-viran ke kone mein paDi hai
sirhane muddai aaya to jaana
judai ki ghaDi sar par khaDi hai
kisi ko par utarega falak kya
usi ki naw chakkar mein paDi hai
bana le aql aag ka putla falatun
ki talchhaT kuchh mere KHum mein paDi hai
nasha hai aur hiran hain us ki aankhen
nazar-bazi hiran ki chaukDi hai
nigah-e-shauq se sina churaya
hamari choT tum se bhi kaDi hai
bala-e-zulf-e-mehman se kahun kya
nahin Talti mere sar aa paDi hai
syahi dur hogi rafta rafta
abhi zahid ki daDhi kaDbaDi hai
sar-e-mahshar baDhi hai kis qadar zulf
qayamat kis qadar ochhi paDi hai
guhar-bin hai nizam-ul-mulk apna
tabiat kya 'bayan' qismat laDi hai
Ghazal
Wo dariya-bar ashkon ki jhaDi hai
Bayan Meeruti