اردو हिंदी
Wo dar talak aawe na kabhi baat ki Thahre | Shaahi Shayari
wo dar talak aawe na kabhi baat ki Thahre

Ghazal

Wo dar talak aawe na kabhi baat ki Thahre

Mushafi Ghulam Hamdani

;

wo dar talak aawe na kabhi baat ki Thahre
hairan hun main kis tarah mulaqat ki Thahre

har roz ka milna hai jo dushwar to pyare
itna to karo qasd ki ek raat ki Thahre

jis waqt ki hum aaen to ye chahiye tum ko
auron se na phir harf-o-hikayat ki Thahre

ai dida-e-tar tum bhi jhaDi apni laga do
is sal to barsat mein barsat ki Thahre

kis chiz pe phir hum hon guftar-e-tayyun
din raat ki Thahre hai na auqat ki Thahre

jab kaT ke dil pair gai howe jigar mein
phir kyun na chhuri aap ki us baat ki Thahre

har roz ye chahe hai teri chashm ki gardish
is markaz-e-KHaki pe kuchh aafat ki Thahre

ai 'mushafi' is waqt wo mehman hai tumhaare
hai ghat ki jagah tu, agar ghat ki Thahre