wo chilman se bijli girana tumhaara
mujhe yaad hai muskurana tumhaara
wo jaana palaT kar na aana tumhaara
na bhulega ye dil bahana tumhaara
ayan ho gaya raaz-e-dil ahl-e-dil par
wo sharma ke nazren jhukana tumhaara
bana do ki chahe miTa do kisi ko
KHudai tumhaari zamana tumhaara
kaman se nikal jo mere dil mein aaya
wo tir-e-nazar ka nishana tumhaara
kalisa mein dair-o-haram mein bhi DhunDha
na paya kahin bhi Thikana tumhaara
yaqinan tumhein yaad aata to hoga
wo 'sagar' wo aashiq diwana tumhaara

Ghazal
Wo chilman se bijli girana tumhaara
Roop Sagar