اردو हिंदी
Wo charagh-e-zist ban kar rah mein jalta raha | Shaahi Shayari
wo charagh-e-zist ban kar rah mein jalta raha

Ghazal

Wo charagh-e-zist ban kar rah mein jalta raha

Gulnar Aafreen

;

wo charagh-e-zist ban kar rah mein jalta raha
hath mein wo hath le kar umr bhar chalta raha

ek aansu yaad ka Tapka to dariya ban gaya
zindagi bhar mujh mein ek tufan sa palta raha

jaanti hun ab use main pa nahin sakti magar
har jagah sae ki surat sath kyun chalta raha

jo meri nazron se ojhal ho chuka muddat hui
wo KHayalon mein basa aur sher mein Dhalta raha

ranj tha 'gulnar' mujh ko us ko bhi afsos tha
der tak rota raha aur hath bhi malta raha