اردو हिंदी
Wo chahchahe na wo teri aahang andalib | Shaahi Shayari
wo chahchahe na wo teri aahang andalib

Ghazal

Wo chahchahe na wo teri aahang andalib

Mushafi Ghulam Hamdani

;

wo chahchahe na wo teri aahang andalib
kis gul ki yaad mein hai tu dil-e-tang andalib

be-dad-e-baghban se jo main sair-e-bagh ki
lakhon dabi paDi thin tah-e-sang andalib

ab barg-e-gul bhi chhine hai dast-e-nasim se
aage to is qadar na thi sarhang andalib

kya zulm hai ki tu hai asir aur bagh mein
kaliyan nikalti hain nae rang andalib

tujh ko asir gardish-e-ayyam ne kiya
chob-e-qafas se karti hai kyun jang andalib

gar shaKH-e-gul mein ho kamar-e-yar ki lachak
is se uDe na khawe agar sang andalib

jata hun gar chaman mein to rakh rakh ke kan ko
nale ka mujh se sikhti hai Dhang andalib

wallah bhul jawe tu sab apne chahchahe
gar bagh mein ho wo sanam-e-shang andalib

aa kar chaman mein 'mushafi'-e-KHasta kya kare
ab sair-e-gul ko samjhe hai ye nang andalib