wo chandni raat aur wo mulaqat ka aalam
kya lutf mein guzra hai gharaz raat ka aalam
jata hun jo majlis mein shab us rashk-e-pari ki
aata hai nazar mujh ko tilismat ka aalam
barson nahin karta tu kabhu baat kisu se
mushtaq hi rahta hai teri baat ka aalam
kar majlis-e-KHuban mein zara sair ki baham
hota hai ajab un ke ishaaraat ka aalam
dil us ka na loTe kabhi phulon ki safa par
shabnam ko dikha dun jo tere gat ka aalam
hum log sifat us ki bayan karte hain warna
hai wahm o KHirad se bhi pare zat ka aalam
wo kali ghaTa aur wo bijli ka chamakna
wo meinh ki bauchhaDen wo barsat ka aalam
dekha jo shab-e-hijr to roya main ki us waqt
yaad aaya shab-e-wasl ke auqat ka aalam
hum 'mushafi' qane hain ba-KHushk-o-tar-e-giti
hai apne to nazdik musawat ka aalam
Ghazal
Wo chandni raat aur wo mulaqat ka aalam
Mushafi Ghulam Hamdani