اردو हिंदी
Wo chandni mein kuchh aisa tha tar-ba-tar tanha | Shaahi Shayari
wo chandni mein kuchh aisa tha tar-ba-tar tanha

Ghazal

Wo chandni mein kuchh aisa tha tar-ba-tar tanha

Javed Jameel

;

wo chandni mein kuchh aisa tha tar-ba-tar tanha
main dekhta raha manzar ye raat bhar tanha

hui hai jaise abhi tak guzar-basar tanha
guzar Dalenge baqi ka bhi safar tanha

pukarta hun tera nam jaise sahra mein
hamesha aati hai aawaz lauT kar tanha

uqab uDta hai jis tarah aasmanon mein
bulandiyon mein kiya karta hun safar tanha

hamesha rahta hai hamrah qafila us ke
musibat aati nahin hai kisi ke ghar tanha

wo muntazir hai koi us ke sae mein aae
khaDa hai dur rah-e-haq pe ek shajar tanha

sharik qafila hota to jashn ho jata
mile the KHizr safar tha mera magar tanha

chali gai hai tere sath zindagi 'jawed'
main ho gaya hun tere baad kis qadar tanha