اردو हिंदी
Wo chandni mein jo Tuk sair ko nikalte hain | Shaahi Shayari
wo chandni mein jo Tuk sair ko nikalte hain

Ghazal

Wo chandni mein jo Tuk sair ko nikalte hain

Nazeer Akbarabadi

;

wo chandni mein jo Tuk sair ko nikalte hain
to mah ke tasht mein ghee ke charagh chalte hain

paDe hawas hi hawas mein hamesha galte hain
hamare dekhiye arman kab nikalte hain

hujum-e-ah hai aankhon se ashk Dhalte hain
bhare hain chaw jo dil mein so yun nikalte hain

charagh-e-subh ye kahta hai aaftab ko dekh
ye bazm tum ko mubarak ho hum to chalte hain

ba-rang-e-ashk kabhi gir ke hum na sambhle aah
yahi kaha kiye ji mein ki ab sambhalte hain

nikalta hai hamein phir wo apne kuche se
abhi to nikle nahin hain par ab nikalte hain

fida jo dil se hai in shoKH sabza rangon par
ye zalim us ki hi chhati pe mung dalte hain

hua nahif bhi yan tak ki hazrat-e-majnun
ye mujh se kahte hain aur hath apne malte hain

koi to pagDi badalta hai aur se lekin
miyan 'nazir' hum ab tum se tan badalte hain