اردو हिंदी
Wo chaal aTkheliyon se chal kar dil o jigar raunde Dalte hain | Shaahi Shayari
wo chaal aTkheliyon se chal kar dil o jigar raunde Dalte hain

Ghazal

Wo chaal aTkheliyon se chal kar dil o jigar raunde Dalte hain

Mirza Asman Jah Anjum

;

wo chaal aTkheliyon se chal kar dil o jigar raunde Dalte hain
abhi jawani ka hai jo aalam na dekhte hain na bhaalte hain

chala hai pahlu se yar uTh kar gham-e-judai ko Talte hain
kabhi to hum dil ko thamte hain kabhi jigar ko sambhaalte hain

kabhi na jin ko lagaya tha munh gale mein bahen wo Dalte hain
jo mangta hun main ek bosa to aap aankhen nikalte hain

agar yahi hai talawwun un ka KHuda hi hai wada ho jo pura
kaha tha kal aaj wasl hoga wo aaj phir kal pe Talte hain

na qahr raftar-e-naz Dhae lachak na waqt-e-KHiram aae
KHuda hi nazuk kamar bachae ki paenche wo sambhaalte hain

na jaan-ba-lab kyun mariz-e-gham ho pae-ayaadat na aae dekho
masih kahte hain log jin ko wo jaan kar mar Dalte hain

kabhi ye kahte hain dard-e-sar hai kabhi ye kahte hain ab sahar hai
sitam ye mushtaq-e-wasl par hai hazaron hile nikalte hain

nikalun arman kyun na ji ke ki mast hon jam-e-ishq pi ke
main sadqe is apni be-KHudi ke ki dauD kar wo sambhaalte hain

kasi ke 'anjum' jo hain sikhae to hain naya rang aaj lae
ki chupke baiThe hain sar jhukae na bolte hain na chaalte hain