اردو हिंदी
Wo but mubtala-talab mehr-talab wafa-talab | Shaahi Shayari
wo but mubtala-talab mehr-talab wafa-talab

Ghazal

Wo but mubtala-talab mehr-talab wafa-talab

Syed Agha Ali Mehr

;

wo but mubtala-talab mehr-talab wafa-talab
ye dil aashna-talab jaur-talab jafa-talab

yaad nahin unhen zara tira-dilon ka KHun-baha
hain teri chashm-e-dast-o-pa surma-talab hina-talab

basta-e-intishaar hain talib-e-zulf-e-yar hain
us ke siyahkar hain ranj-talab bala-talab

rahti hai dil mein muttasil aatish-e-ranj mustaqil
roz-e-awwal se hai ye dil gham-talab aashna-talab

raat-din us ka dagh-e-ah rakhta hai mere dil se rah
'mehr' hain jaise mehr-o-mah nur-talab ziya-talab