wo bujh gaya to andheron ko bhi malal raha
wo ek charagh jo jalne mein bhi be-misal raha
kabhi bhula na saka dil-shikastagi apni
juDa to juD ke bhi us aaine mein baal raha
meri hayat ne hatim bana diya mujh ko
har ek sawal ke baad ek naya sawal raha
hamesha main ne bhi nakaamiyon se kaam liya
tamam-umr mera 'mir' jaisa haal raha
tumhaare baad kisi se fareb khaya nahin
tumhaara mujh se bichhaDna bhi nek-fal raha
ghamon ko hawi na hone diya kabhi dil par
shab-e-firaq bhi zikr-e-shab-e-visal raha
kahan haram hai kidhar kaba hai kidhar ruKH hai
namaz-e-ishq mein us ka kahan KHayal raha
ghazal usi ki thi hawi tamam ghazlon par
wahan bhi raunaq-e-bazm-e-suKHan 'kamal' raha
Ghazal
Wo bujh gaya to andheron ko bhi malal raha
Ahmad Kamal Hashmi