اردو हिंदी
Wo bigDe hain ruke baiThe hain jhunjlate hain laDte hain | Shaahi Shayari
wo bigDe hain ruke baiThe hain jhunjlate hain laDte hain

Ghazal

Wo bigDe hain ruke baiThe hain jhunjlate hain laDte hain

Nizam Rampuri

;

wo bigDe hain ruke baiThe hain jhunjlate hain laDte hain
kabhi hum joDte hain hath gahe panw paDte hain

gae hain hosh aise gar kahin jaane ko uThta hun
to jata hun idhar ko aur udhar ko panw paDte hain

hamara le ke dil kya ek bosa bhi nahin denge
wo yun dil mein to raazi hain magar zahir jhagaDte hain

jo tum ko ek shikayat hai to mujh ko lakh shikwe hain
lo aao mil bhi jao ye kahin qisse nabaDte hain

udhar wo aur aaina hai aur kakul banana hai
idhar wahm aur KHamoshi hai aur dil mein bigaDte hain

yahan to sab hamari jaan ko naseh ban ke aate hain
wahan jate hue dil chhuTte hain dam ukhaDte hain

na dil mein ghar na ja mahfil mein yan bhi baiThna mushkil
tere kuche mein ab zalim kab apne panw gaDte hain

sahar ko roun ya un ko manaun dil ko ya rokun
ye qismat wade ki shab jhagDe sau sau aan paDte hain

kabhi jhiDki kabhi gali kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
bane kyun kar ki sau sau bar ek dam mein bigaDte hain

'nizam' un ki KHamoshi mein bhi sadha lutf hain lekin
jo baaten karte hain to munh se goya phul jhaDte hain