wo bichhaD kar niDhaal tha hi nahin
yani us ko malal tha hi nahin
wo to panw hi paD gaya tha mere
jis safar mein malal tha hi nahin
meri tasdiq kya bhala karta?
wo kabhi meri Dhaal tha hi nahin
surmai hijr ko hara karta
us mein aisa kamal tha hi nahin
aur phir dil ne us ko chhoD diya
jab talluq bahaal tha hi nahin
chand phir ham-safar bana mera
mere aage zawal tha hi nahin

Ghazal
Wo bichhaD kar niDhaal tha hi nahin
Naheed Virk