wo bhi sarahne lage arbab-e-fan ke baad
dad-e-suKHan mili mujhe tark-e-suKHan ke baad
diwana-war chand se aage nikal gae
Thahra na dil kahin bhi teri anjuman ke baad
honTon ko si ke dekhiye pachhtaiyega aap
hangame jag uThte hain aksar ghuTan ke baad
ghurbat ki ThanDi chhanw mein yaad aai us ki dhup
qadr-e-watan hui hamein tark-e-watan ke baad
elan-e-haq mein KHatra-e-dar-o-rasan to hai
lekin sawal ye hai ki dar-o-rasan ke baad
insan ki KHwahishon ki koi intiha nahin
do gaz zamin bhi chahiye do gaz kafan ke baad
Ghazal
Wo bhi sarahne lage arbab-e-fan ke baad
Kaifi Azmi