اردو हिंदी
Wo bhi milne nai poshak badal kar aaya | Shaahi Shayari
wo bhi milne nai poshak badal kar aaya

Ghazal

Wo bhi milne nai poshak badal kar aaya

Jamal Ehsani

;

wo bhi milne nai poshak badal kar aaya
main jo kal pairahan-e-KHak badal kar aaya

ai zamin-zad teri rifaten chhune ke liye
tujh talak main kai aflak badal kar aaya

us ko ras aai hai ye bazm-e-jahan jo bhi yahan
apna paimana-e-idrak badal kar aaya

ishq mein koi takalluf ki zarurat to nahin
phir wo kyun dida-e-namnak badal kar aaya

hum se kar be-sar-o-samani-e-hijrat pe sawal
us se mat puchh jo imlak badal kar aaya

aansuon se na badal paya ruKH-e-baad 'jamal'
par mizaj-e-KHas-o-KHashak badal kar aaya