wo bhi kuchh bhula hua tha main kuchh bhaTka hua
rakh mein chingariyan DhunDi gain aisa hua
dastanen hi sunani hain to phir itna to ho
sunne wala shauq se ye kah uThe phir kya hua
umr ka Dhalna kisi ke kaam to aaya chalo
aaine ki hairaten kam ho gain achchha hua
raat aai aur phir tariKH ko dohra gai
yun hua ek KHwab to dekha magar dekha hua
wo kisi ko yaad kar ke muskuraya tha udhar
aur main nadan ye samjha ki wo mera hua
Ghazal
Wo bhi kuchh bhula hua tha main kuchh bhaTka hua
Iqbal Ashhar