اردو हिंदी
Wo bhi kahta tha ki us gham ka mudawa hi nahin | Shaahi Shayari
wo bhi kahta tha ki us gham ka mudawa hi nahin

Ghazal

Wo bhi kahta tha ki us gham ka mudawa hi nahin

Hasan Nayeem

;

wo bhi kahta tha ki us gham ka mudawa hi nahin
dil jalane ke alawa koi chaara hi nahin

zor-e-wahshat bhi agar kam ho to chalna hai mudam
sar chhapane ke liye dasht mein saya hi nahin

jal ke hum rakh hue hain ki bane hain kundan
jauhari ban ke kisi shaKHs ne parkha hi nahin

gard-e-shohrat ko bhi daman se lipaTne na diya
koi ehsan zamane ka uThaya hi nahin

meri aankhon mein wahi shauq-e-tamasha tha 'naim'
us ne jhuk kar meri taswir ko dekha hi nahin