wo bewafa hi sahi us ko bewafa na kaho
adab ki had mein raho husn ko bura na kaho
sharab-e-ishq ki azmat se jo kare inkar
wo parsa bhi agar ho to parsa na kaho
paDa hai kaam usi KHud-parast kafir se
jise ye zid hai kisi aur ko KHuda na kaho
mera KHulus-e-mohabbat hai qadr ke qabil
zaban pe zikr-e-wafa hai use gila na kaho
ye kya kaha ki dua hai asar se begana
taDap na dil ki ho jis mein use dua na kaho
ye aur kuchh nahin fitrat ki bad-mazaqi hai
baghair baada ghaTa ko kabhi ghaTa na kaho
taDap taDap ke guzaro shab-e-firaq apni
ye naz-e-husn hai 'shair' ise jafa na kaho
Ghazal
Wo bewafa hi sahi usko bewafa na kaho
Shaer Fatahpuri

