wo bewafa hai hamein ye malal thoDi hai
hamein bhi raat din us ka KHayal thoDi hai
abhi hai qaid mein be-shak jahan ki rasmon ke
abhi sazaon se nari bahaal thoDi hai
ghulam apna bana len jo KHwahishat ko hum
basar gharibi mein karna muhaal thoDi hai
hamari aankh mein sharm-o-haya ka hai parda
nazar milae koi ye majal thoDi hai
wafa karoge to hum se wafa hi paoge
tumhaare sath ana ka sawal thoDi hai
zara yaqin ka chashma laga ke dekho to
abhi wafaon ka itna akal thoDi hai
ye kaisi chaaron taraf chandni bikharti hai
koi hasin hai chhat par hilal thoDi hai
ye baat aaj mujhe aaine ne samjhai
tumhaare husn pe itna zawal thoDi hai
zarur tum ho kisi ke chaDhae mein warna
tumhaare KHun mein itna ubaal thoDi hai
hamara dil to hai shaffaf aaine ki tarah
is aaine mein bhala koi baal thoDi hai
Ghazal
Wo bewafa hai hamein ye malal thoDi hai
meenakshi jijivisha